Monday, November 26, 2007

पाकिस्तानियों को मुशर्रफ, बेनजीर, नवाज किसी पर भरोसा नहीं


(पाकिस्तनियों को लगता है कि सत्ता जिसके भी हाथ में रही उसने सिर्फ पाकिस्तान को बरबार किया है। पाकिस्तान में आपातकाल लगने के बाद मैंने लिखा था कि दुनिया के लिए खतरा बन चुके पाकिस्तान की नई पीढ़ी किस तरह से मुशर्रफ का विरोध कर रही है। लेकिन, आज एक चौंकाने वाली बात मुझे जो जानने को मिली कि पाकिस्तान के नौजवानों को जितने बेइमान मुशर्रफ लगते हैं। उतने ही बेइमान बेनजीर, नवाज जैसे दूसरे नेता भी लगते हैं। पाकिस्तान के लोग मानते हैं अब इस देश को बचाने का रास्ता एक ही है कि बच्चों को सही सबक सिखाया जाए और बेहतर तालीम दी जाए।

पाकिस्तान के बिगड़े हालात का अंदाजा मुझे लगा कुछ पाकिस्तानी नौजवानों की मेल के जरिए। कुछ महीने पहले पाकिस्तान के बारे में ज्यादा जानकारी के लिए मैंने याहू पर पाकिस्तान मस्ती जोन में रजिस्टर किया था। उसके बाद मैं शायद ही कभी इस ग्रुप की मेल पढ़ता था। लेकिन, आज इस मेल में तीन मेल एक-दूसरे के जवाब में जो लिखा गई उसे पढ़कर मुझे लगा कि इसे दुनिया के हर आदमी को पढ़ना चाहिए इसलिए मैं वैसे का वैसे ही पेश कर रहा हूं।)


naraaz_pakistan wrote:
BEHKI BEHKI BATAIN AIK PAGAL PAKISTANI KI


Tera pakistan hay na mera pakistan hay. yea uska pakistan hay jo sadaar-e-pakistan hay. 60 saaloo say pakistan ka khoon choosnay waalay 6 lakh bheriaay is mulk ka wajood taak khatam karkay daam laingay. 16 karor aawam aik taaraf zaati mufaad aik taraf. yea musharaf ko baadshah kio nahi bana daitay siyaah karay yea safeed aanday day yea bachay koi rooknay waala nahi ho ga president bhi Chief of army staff bhi aur chief justice bhi. sabsay pehlay pakistan ka matlab hay kay sabsay pehlay zaati mufaad aur meri kursi pehlay tu kisy ki samjh may nahi aaya, aub samajh may aaya. Aafreen hay sirf aik shakhs ki khaatir jaab zaroorat parti hay aain ki dhaajia ura di jaati hain. Aur salute hay army kay (kutay say ziaada wafaadar) generaloo ko jinho nay sirf salute maarna seekha zehaan say soochna nai gheraatmandi ko topi may
daal kar pehaan li hay.

pakistan may emergency laagi hay yea media aur aadlia par shaab khoon maara gaaya hay. Aub humain samjh jaana chiay haawas iqtaadar kia hoti hay? Is mulk ka naam islami jamhoria Pakistan kay bajai Azaad Khiaal Martial Law pakistan or musharafistan. is say samjh may yea aata hay haalaat kharaab sirf parweezi hukoomat ko tool dainay kay liay ki gai taakay AAQA (America) kay maaqaasid poray kiay jaa sakay khuch aur begunahoo ka khoon bhaaya ja sakay. Dukh hay hum 16 karor ki booli sirf 16 Afsaaro nay laagai hoi jo humaay kabhi america tu kabhi birtish ko baich rahay hay yea phir apni hi inteligence kay aaqobat khaanoo may takhta maashq banay howay hain aur kisy kay maa baap biwi bachoo ko koi haaq haasil nai unko pata bhi
chalay wo zinda hay yea maar gai kisy judge nay pehli baar bera uthaaya tu agencies aur musharaf ko itna bura laga kay unko haata dia.

Yea wahi media hay jisay mainay independance di hay baqool baadshah salaamat pakistan aur zairay lab apnay khilaaf likhnay kay liay nahi di aazadi judicary ko aazadi di hay maagar aapnay khilaaf faisloo kay liay nahi kia aandhair naagri aur choopat raaj hay jiskay gaalay may phaanda aagaya phaansi usko dainy hay aur agencies ko 90 Aaraab lootnay waaloo ko steel mill saastay daamo beechnay waaloo ko aawaam ko dhaakia gaalia dainay waalay minister ko khuch nai kehna. haam murda qoam hain koi baahar say nai aaiy ga baachaanay. America aub emergency kay nifaaz paar jhoota wawela karay ga 2 din pehlay General Faalan apni behaan ka rishta le kar aaya tha musharaf kay pass.

Emergency lagnay kay baad condoleza rice taabsaray say inkaar china jaa kar tabsaara karo gi sab pata tha. Kia humaaray mulk may venezvella waalay haalaat paida ho rahay hain jaha CIA nay plotting ki Hugo chavez ko nikaal kar khud hookumat karnay ki maagar kia humaaray pass wo media hay jo ultaay howay taakhtay ko seedha kaarday kia wo awaam hay jo maazooll aur arrested saadar ko waapis lay aiy maagar ham saawal yea hay ham laai kisko yeha tu haar shaakhs ka daaman phaata howa hay kahi laachari say kahi corruption say kiski jhooli may daalaay yea zimadaari. Mubaarak musharaf tumhay aub khiaal karna american agenday ki taakmeel may waziristaan saawat maata
balochistan deeni madarsoo par qaatlay-aam aaraam say ho. Aub tu na koi aadliaa hay na aawaam na leader. sikaast khoorda fauj nay pehlay wazeeristan aur phir swaat may hatiaar daalnay kay baad aik baar phir apnay hi capital ko faatah karlia. 6 lakh ki fauj may aik shakhs bhi pakistan ka waafadaar nahi hay. may halaaf na lainay waalay judges ki aazmat ko salam karta ho aur uthaanay waaloo paar laanat bhaijta ho. aur jaab AAQA ko aitraaz nahi tu haam kon hotay hain taanqeed karnay walay pichli daafa AAQA nahi chaatay thay tu raat ko phone kardia is daafa chaatay hain tu daabi aawaz may muzaamat kar rahay hain aur imdaad jaari rahay gi ka naara.

In pakmastizone@ yahoogroups. com, Ricky Azmi wrote:
I certainly understand and respect your views. Magar humare mulk ka sab se bada masla yehi hai ke we get frustrated and make decisions based on our own liking and disliking, and then we turn to sources who we all know too well, ke na tou unho ne kal kabhi kuch kiya tha pakistan ke liye, aur na hi karenge, aur shayed kar bhi nahi karsakte. Wo suna hai na aapne..something like.."Khuda ne aajtak badli nahi
uss qaum ki haalat, na ho jisko khayaal khud aap apni haalat ke
badalne ka"....

Musharaf se peecha churayenge, tou kiya mulk sambhaljaayega? I dont think so. I think before we get too critical about country's leadership, the most important thing is to find ways to develop sense of responsibility and civics in our children, youth....then only we have some hope to look forward to a decent'modern' leadership. Warna Musharaf nahi tou Bhutto, Bhutto nahi tou, Nawaz, Nawaz nahi tou
shayed Altaf...magar ye drama sirf inhi characters tak limited rahega, aur Pakistan ki dhajiyan udti rahengi..aur hum sab, kalki tarha, aajki tarha....humesha ki tarha...kehtay rahenge..... Pakistan Zindabad.... Ye watan Tumhara hai, Tum ho Pasbaan Iske.....Pitty and Pathetic.... !
Ricky Azmi, Member PakMasti Zone
Jersey, Britain



A silent member...... Qaiser Majeed
I do agree with your comments 100%. We all Pakistanis should develop
sense of responsibility and civics in our children to make our
Pakistan better in future. May Allah help us to act on what we say....
(Amin)

3 comments:

  1. भारत विभाजन मे दुःख सुख भी बांटता गया. सता बँटा तो भ्रष्टाचार का आचार संहिता भी बँटा . जरा सोचिये जब दो -दो राष्ट्रपति दो-दो प्रधान मंत्री विथ कैबिनेट पब्लिक को खुश नही कर पा रही है एक ही रहता तब क्या होता ? कहर जितनी इधर है उतनी उधर है ! चोर चोर मौसेरे भाई हैं सब !

    ReplyDelete
  2. वाह ये तो बड़ी अच्छी बात है हर्ष भाई. इससे तो साबित हुआ कि पाकिस्तान सचमुच हिन्दुस्तान का भाई है. हो सके तो मेरी और से पाकिस्तान के सभी नेताओं को बढाई दें. अब वे किसी मामले में भारतीय राजनेताओं से काम न रहे. बस एक बात की कमी रह गई है और वह है वंशवाद. अबकी बार बेनजीर को गद्दी मिल जाए तो वह कमी भी पूरी हो जाएगी.

    ReplyDelete
  3. कोई फर्क नहीं है दोनो मुल्कों में, जैसे उन्हें सत्ता के लोभी और बर्बाद करने वाले नेता मिले वैसे हमें भी!!

    ReplyDelete

हिन्दू मंदिर, परंपराएं और महिलाएं निशाने पर क्यों

हर्ष वर्धन त्रिपाठी Harsh Vardhan Tripathi अभी सकट चौथ बीता। आस्थावान हिन्दू स्त्रियाँ अपनी संतानों के दीर्घायु होने के लिए निर्जला व्रत रखत...